Purane Din Lyrics
Purane Din Song Lyrics
Kitabon se aankhein chura ke hum
Yaaron pe shaamein lutate the
Phir kamron mein fikrein sula ke
Sadkon pe tafree udhate the
Jebein khali thi, munh pe gaali thi
Bheegay khwabon bhari raat thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Woh purane din, thay deewane din
Ab gaye hain jo nahi aane din
Woh purane din, thay deewane din
Ab gaye hain jo nahi aane din
Un dino mein kuch toh baat thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Achhi lagti thi kabhi-kabhi jo mujhe
Wahi tujhe dekha karti thi kabhi-kabhi
Jo tujhe haan, tujhe dekha karti thi kabhi-kabhi
Woh hi mujhe
Woh na teri hui aur na meri hui
Woh kisi aur ke saath thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Milte thay hum pehle toh
Phir bhi nikaal ke fursatein
Ab mile bina hi beet jaate hain zamane
Ana le gayi hai door humko
Ab ye zaroorat hai
Thay door-door hum yaaron
Mere bhi yaadein saath thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Un dino mein kuch toh baat thi
Woh purane din, thay deewane din
Ab gaye hain jo nahi aane din
Woh purane din, thay deewane din
Ab gaye hain jo nahi aane din
Un dino mein kuch toh baat thi
Credits
More from Arijit Singh
Explore popular lyrics from this artist
Community Thoughts .
0 CommentsLeave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *
No comments yet
Be the first to share your thoughts about these lyrics!