Hindi
Waqt Lyrics
Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha
Ae waqt thehar ja zara
Abhi unko main padh na saka
Thodi yaadein reh gayi baatein reh gayi
Jaane kya aankhon ne kaha
Aankhon ne kaha tha aankhon se
Ki baatein karte rahenge
Zubaan tumhari aankhon ne nahi di thi toh
Tauheen na karo
Nikal jaate hain aaj bhi inhi raahon pe raaton mein
Pata hai nahi miloge tum
Kya karein hai shauq e aakrosh
Kash roz tumhe bata diya hota ki nashe ne nahi tumhare intezaar ne mera yeh haal kiya
Kash roz tumse tumhara haal puchne ke saath saath bata diya hota ki mera bhi haal kya hai
Kash tum samajh paate ki sawaal the par fikr thi unke peeche
Kash tum jawaab mein bas itna keh dete ki sawaal pasand nahi the tumhe
Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha
Ae waqt thehar ja zara
Abhi unko main padh na saka
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya aankhon ne kaha
Keh toh diya tha magar nibhana kaise hai pata nahi tha shayad
Seh toh liya tha magar sawarna kaise hai pata nahi tha shayad
Shayad soch liya tha ki hum tum aur main se zyada kareeb the mere
Lekin tum aur main kaafi alag the pata nahi tha shayad
Maana rihayi maine khud hi se de di thi tumhe
Lekin tum toh jadugar the na tum toh mutthi mein ret thaamna bhi jaante the
Haan main nadaan tha lekin meri nadaani tum sambhaal nahi paaye
Kyun tum toh sab sambhaalna jaante the
Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein thodi baatein
Jaane kya aankhon ne kaha
Ae waqt thehar ja zara
Discover the lyrical beauty of Waqt, a masterpiece in the Select genre. Whether you're a long-time fan or a new listener, these lyrics will bring you closer to the heart of the track.
Credits
Singer(s)
Paradox
Lyricist(s)
Paradox
Album
Bade Dino Baad
Release
Apr 23, 2026
Language
Hindi
Contributors
RD
IV
SS
KB
VM
Waqt Video
More from Bade Dino Baad
More from Paradox
Explore popular lyrics from this artist
Rate "Waqt"
0 out of 5
Β·
0 ratings
Community Thoughts .
0 CommentsLeave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *
No comments yet
Be the first to share your thoughts about these lyrics!