Kalakaar Banna Hai Lyrics
Kalakaar Banna Hai Song Lyrics
Umar 9 saal ki thi toh main ziddi bhi hoti thi
Ghar ki chhoti beti, ghar mein apne rani bhi hoti thi
Maa thi daantti toh main papa ki godi mein roti thi
Aaj sochti hoon kahan gaye saare woh din
Kaisa sehmaa mera dil ke kaagaz
Dost ban gaye gham ki gali ke musaafir
Hum mashhoor ban gaye
Phir ek roz zakhm jeene ka dastoor ban gaye
Aur jab tak aayi samajh
Jaana hum majboor ban gaye
Kandhon pe zimmedaari, bhaari wazan
Kalam mein dikhta hai
Woh bhi sochte iska dil
Yeh sab kya sochke likhta hai
Kiraaye ki chhat maange marammat
Jeb mein ek nahi rupya hai
Kaun kehta hai ke sapnon ka koi daam nahi lagta hai
Sab bikta hai
Ho jab zaroorat, aansun roz ka kharcha hai
Maine dekha aisa waqt
Dil ek dost ko tarsa hai
Phir ek roz woh tadpa hai
Toh waqt ne usko bhi parkha hai
Bikhar ke reh gaya
Magar yeh bhi toh roz ki charcha hai
Maine bola maa ko mujhe kalaakaar banna hai
Daulat shoharat se pehle ek accha insaan banna hai
Likhti dil se hoon sab
Isliye dil ko saaf rakhna hai
Zameen pe reh ke mujhe aasmaan ko paar karna hai
Kuch khaas nahi, mujhe ab kuch aam likhna hai
Dil se dil tak jaane wala dil ka haal likhna hai
Apna har dard pannon pe behisaab likhna hai
Bacha kuch nahi ab, mujhe itihaas likhna hai
Kal se behtar likhna hai
Mujhe kuch aisa likhna hai
Apni kismat mein ek hasta parivaar likhna hai
Kisi ka saath likhna hai
Kisi ke baad likhna hai
Himmat karke apne haq mein thoda pyaar likhna hai
Kala ka maan rakhna hai
Kalam ka naam karna hai
Marte dum tak apni kalam se bas pyaar likhna hai
Aur mile zillat bhi agar poori umar zamaane se
Mujhe phir bhi agle janam ek...
Kalaakaar banna hai...
Kalaakaar banna hai...
Kalaakaar banna hai...
Community Thoughts .
0 CommentsLeave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *
No comments yet
Be the first to share your thoughts about these lyrics!