Apna Apna Aasmaan Lyrics
Apna Apna Aasmaan Song Lyrics
Mera makaan kaccha chhat ko mera khwaab maan
Tujhpe imaaratein hain rab chaahe chaand maang
Kahaan se dekhte iss baat PE sab tika hua
Ke shaayad sab ka hota apna-apna aasmaan
Toh mera bhi ek hai aasmaan hai aapki tarah
Jismein rehte hain kuch baadal mere khwaab ki tarah
To yeh baadal dekhne mein lagte sundar beshaq
Par yeh chhupaake rakhte hain kuch toh naqaab ki tarah
Toh iss aasmaan ko aur nahi main bharna chaahta hoon
Saare baadal chhatt jaayein
Main bas phir marna chaahta hoon
Toh shuruwaat karte hain hum mere pehle baadal se
Kaisa shakhs tha aur kaisa ab main banna chaahta hoon
Dil toota mera par maine tode bhi toh
Mujhse chhoote kitne log maine chhode bhi toh
Aur beshaq bada kiya maine unn paudhon ko inhi haath se
Jab phool aaye paudhon par inhi haathon se toda bhi toh
Haath se mere kisi ko haadse milay koi
Mera ghada bharte-bharte pyaas se marey koi
Jaanta hoon achhe se ki zyaada hoti jalan
Jab yeh haath na jalay par apne haath se jalay koi
Sapna itna saada mujhko marna aisa banda bann kar
Ke chup toh sab karaate rone doon main kandha bann kar
Aur tujhko chhodh jaaye duniya paapi bolkar
Aur chaahe tu sudharna toh
Main ruk paaun bas ganga bann kar
Dooja baadal mera barsa aur yeh baarishein sehlaab laagayin
Mere aankhon ke sheher mein dekh baadh aagayi
Par yahan rone ka koi hota agar faida toh
Kyun mujhko rota dekh ke nani dubaara jaag na gayi
Nani kuch saal baad tu aankhein moond leti
Main gaa raha tha nani dekh duniya jhoom rahi thi
Itna khush hoti na aap mujhko TV par dekh kar
Ki aap TV par se maatha mera choom letin
Khudko baandh ke rakhta hoon
Kahin yeh chhoot na jaaye qaabu apna
Dadi ko bhoolne ki bimari main yaad hoon rakhta
Harmeeet ko lete ab sadkon PE pehchaan
Mujhko darr rehta hai
Ghar PE dadi bhool na jaayein babu apna
Bachaa hai aadha baadal ismein bhi na chhed hojaye
Mera yeh jeeta hua sona phirse ret hojaaye
Khauf tha kabhi mujhko haarne ka nahi
Mujhko darr ke meri jeet mein na kahin phirse der hojaaye
Ab mera teeja baadal sab se zyaada ghanaa
Jo mere ghusse chinta aur inn aansuon se bana
Ismein bijliyan kadakti mere ghusse ki
Main darr mein rehta hoon kisi PE gira na doon zaraa
Bachpane mein socha kyun yeh itni qillat mili
Main chhote ghar ka bade school mein bhi zillat mili
Tujhe gaadi mili hogi tujhe ghar mila hoga
Mujhko baap se viraasat mein par himmat mili
Tab se khaai nahi koi aisi jo ki naap karke koodi ho
Kitna lamba chalke aaya raaste se poochhiyo
Jab ghar mein padi jagah kam yeh khwaab paalne ki
Apne haathon se banaaya maine bathroom mein studio
Kamee ke wazan se kabhi kandhe nahi thakte
Accha khoja burey mein bhi path se nahi bhatke
Pankhe ki bhi jagah nahi thi studio mein mere
Tabhi shaayad khwaab mere phande se nahi latke
Roti beli iss qalam se kaagaz choolha hogaya
Maine bola jitna jhooth saara choora hogaya
Maine aadaton ko maara phir bahaane nahi diye
Tabse laakhon wala gaana mera poora hogaya
Jiski subah ko hum tarse mujhko ek-ek woh shaam yaad
Cheezein nahi khareedin tuney ek-ek ka daam yaad
Sunn ke ro gayi tu mujhko ek-ek woh baat yaad
Par chinta matt kar maa tu mujhko ek-ek ke naam yaad
Credits
More from Harmeeet
Explore popular lyrics from this artist
Community Thoughts .
0 CommentsLeave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *
No comments yet
Be the first to share your thoughts about these lyrics!