Published Date: Oct 11, 2026 Updated Date: Oct 11, 2026
Patta cover
Hindi

Patta Lyrics

Harmeeet
"Patta lyrics by harmeeet" is a Hindi poem-rap on freedom, dreaming, struggling, and the significance of going your way. In this poem, the author utilizes a torn-off leaf from the tree as an analogy of a person who wishes to escape the known restrictions and seek a greater horizon. While in his journey, he will have to undergo pain and loneliness, yet will keep pursuing his dream. The end of the poem makes it a lesson of failure, sacrifice, and influence that a person's effort can create on others.

Patta Song Lyrics

Ek naadaan patta apne pedh par tha haraa bharaa
Oob chuka tha woh pedh par bas tanga-tanga
Hazaar patte honge uss pedh par
Aur phir bhi samajhta woh
Khudko uss tanne par kaafi tanha-tanha

Hawaa-hawaa kehta mujhe saath leja kahin par
Leja mujhe aasmaan mein chhodh de ya zameen par
Dekh kar yeh duniya main aabaad hona chaahta
Main aazaad hona chaahta mujhko qaid se aa bari kar

Aadhe hastay uspe patte
Aadhe yahi samjahte ki hoon yahin paida hokar
Yahin par hee mar jaate
Agar woh ooparwaala chaahta ki
Hum bhi paaye uudh toh unn titliyon ko
Dekh hum bhi unki tarah par paate
Patta poochhe kyun hum itne bandhanon mein pade
Kya duniya bahot badi hogi junglon ke paray
Jin tehniyon ko hai lagaav haraypann se mere
Kya yeh tham ke rakhengi patjhadon ke samay
Toh toot ke hawaa ke sang woh udd gaya aakaash mein
Kabhi jaaga neher mein woh kabhi soyaa ghaas PE
Naye dekhe sheher usne naye dekhe raaste
Aisa pehli dafaa jab uss patte ke par aazaad thay
Dikhi patte ko dur pahaadon ki ek jhalak
Unhein dekh kar achaanak patte mein uthi ek talab
Ab ek naya khwaab usne sajaa liya
Ab usay dekhna ki duniya kaisi pahaadon ke uss taraf
Haq ki zindagi hee toh bas maang raha tha
Patta apne auqaat ke daayron ko laang raha tha
Patta iss qadar woh apne sapne ke khumaar mein khoya
Lagaa ke hawaaon PE paanv rakh ke bhaag raha tha patta
Din yeh dheere dheere
Haraypann ko noch lete thay
Usko chattaanon ke kone kuch kharoch dete thay
Har raat shaayad dard mein phir rota hoga patta aur hum naadaani mein aksar usko OAS keh dete
Har dard apna bhulaa karke add gaya tha patta
Sookhta bikharta choti chadh gaya tha patta
Ab bas lagraha tha uska sapna poora hone waala tabhi
Tabhi marr gaya woh patta
Tabhi marr gaya woh patta
Tabhi marr gaya woh patta
Marr gaya woh patta
Par mere mann mein ab sawaal rehta itna
Ki kaunsa woh patta jo asal mein hota zinda
Woh jo mar gaya hai apna khwaab zinda rakhte
Ya jisne saanson ke liye bandish ka baandh liya phanda
Aur gaur se sochun shaayad main hee hoon woh patta
Pedh aur shaayad se duniya ka woh ek tabka
Jisko lagta hai ki shaayad uski gini-chuni shaakhaon par hee khushaal zindagi bhar reh sakta har patta
Mujhko sunn rahe main jo baat kar raha hoon woh dilon se
Dhaar thi kitni yeh hamesha poochho chotilo se
Aur main jeetne mein shaan lagaa doonga
Par main haar bhi gaya toh kal TUM seekhna inn koshishon se

Jaise girti boondon se bhi nehron ko ufaan mil jaaye
Meri haar se bhi ghairon ko mukaam mil jaaye
Apne aansuon se chalaa mitti geeli karte taaki tu khoye mere paeron ke nishaan mil jaayein

Bujhta maachis ka tukda diye ko aag dekar jaata
Yeh doobta sooraj duniya ko chaand dekar jaata
Apni vishaalta mein aksar yeh bhool jaata pedh
Ki ek sookha patta bhi mitti ko khaad dekar jaata

Toh pedh ko lagta hai ki bikhar gaya hai patta
Pedh ko lagta hai ki marr gaya hai patta
Toh jaake poochh apne patton se
Unki lehrahat bataa degi ki kya kar gaya hai patta
Kya kar gaya hai patta
Kya kar gaya hai patta
Unki lehrahat bata degi
Ki kya kar gaya hai patta
Teri koshishon se kisi ko wajah milegi
Nazariye se badi cheez na milegi
Kyunki apne haar ko dekhega jab tu doosri taraf se
Tujhe raah milegi

Credits

Singer(s) Harmeeet
Composer(s) Harmeeet
Lyricist(s) Harmeeet
Release Oct 10, 2026
Language Hindi
Harmeeet
1 Alpha Mentality
Alpha Mentality
AGSY Β· Hindi
2 Jhoot
Jhoot
Harmeeet Β· Hindi
3 Roti
Roti
Harmeeet Β· Hindi
4 Apna Apna Aasmaan
Apna Apna Aasmaan
Harmeeet Β· Hindi
5 Chhota Baccha
Chhota Baccha
Harmeeet Β· Hindi

Rate "Patta"

0 out of 5 Β· 0 ratings

How Does This Song Make You Feel?

Community Thoughts .

0 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

No comments yet

Be the first to share your thoughts about these lyrics!