Zamana Ho Gaya Lyrics
Zamana Ho Gaya Song Lyrics
Rakha sabar hoon main befikar
Main kisi ka hoon bhi ya nahi na pata
Meri zubaan pe aate do naam
Ek meri maa, ek mera Shiva
Main karta nahi rule, main chalta hoon saath
Haath ko aage badhata raha
Jahan mere pyaar ne rakhe kadam
Un raahon pe taare bichhata raha
Na hota afsos kya khoya hai dost
Jeet ke jaaunga main mere ghar
Abhi 25 hai meri umar
26 mein Goa mein hoga ek ghar
27 mein Grammy dilaaunga main
28 mein rule karunga main world
Fanbase mera kaafi cult
Main karta tsunami ki lehron pe surf
Mera desire ek movie jo mere pe solo ho poori
Sunayi deti hai baatein
Yeh kya-kya kar raha hai baazey?
Kya mere liye ya tere liye
Hum khud ko badal nahi sakte
Hum aa chuke door, is haath ko pakad le dost
Hum bhatak nahi sakte
Jo karna hai kar, jo jeena hai jee
Hum khwaabon ka murder nahi karte
Bas ek hi chot se ghaayal hain dil ke
Hum dono sabar nahi rakhte
Ab jaani hum sambhal nahi sakte
Log yahan nazar nahi padhte
Do hafte mein aashiq badalne se jaana
Is dil ke zakhm nahi bharte
Pagal sahi, sach karun sapno ko, kaayar nahi
Bas tere ghutno ko tekna nahi
Kabhi aatma ko teri kahin bechna nahi
Mann kare pee loon main madira
Bole mujhe heera jab bhi mera kaam sune
Studio mein baje meri veena
Jab bhi mera sheesha mere liye raag chune
Diya maine sabhi ko isteefa
Mere liye raaste mera bhagwan bune
Hue darwaaze jo band mere moonh pe
Toh bas meri dua bhagwan sune
Maine mere bhaiyon ko waada kara
Meri roti ko aadhe se aadha kara
Mujhe scene mera lad ke uthana pada
Bhale ladkon ko ghar se uthana pada
Main kal mar jaaunga, yaad tumhe aaunga
Duniya ek tarfa, main ek tarfa ho jaaunga
Phir bhi bachaaunga, tumko bachaaunga
Waada kiya hai tumse, kaise na aaunga?
Na lagti ab mujhko koi duhaai bhi
Tumhari duaayein neendon se jagaayegi
Ik kala phir meri kalam mujhse banwaayegi
Toh laakhon logon ke sar pe baarish barsaayegi
Haan mujhko maalum hai gussa meri khaami hai
Humble hi main rehta hoon
Meri peeth ke peeche chale saazishein
Mere haathon mein dhaaga hai
Maine rishte ko dhaagon se baandha hai
Yeh toota toh aadha hai tu
Yeh toota toh aadha main
Zamaane ki aankhon se in aankhon ko
Na milaaye bhi zamaana ho gaya, zamaana ho gaya
Ab khwaahishon ko seene mein dabaaye
Mere dost ek zamaana ho gaya, zamaana ho gaya
Zamaane ki aankhon se in aankhon ko
Na milaaye bhi zamaana ho gaya, zamaana ho gaya
Ab khwaahishon ko seene mein dabaaye
Mere dost ek zamaana ho gaya, zamaana ho gaya
Ho gaya, ho gaya, ho gaya...
Zamaana ho gaya...
Zamaana ho gaya..
Community Thoughts .
0 CommentsLeave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *
No comments yet
Be the first to share your thoughts about these lyrics!